Atychiphobia aik aysi nafsiyati bimari hai jes me insan ko apne nakam hone ka khauf lahaq ho jata hai . Iss bimari ko aam zuban me fear of failure kaha jata hai . Atychiphobia fard ko iss k kisi khas maqsad me nakami ki sorat me lahaq hota hai . Nakam hone ka khauf hi fard ko iss ki zindagi mein shadees nakami deta hai , ye khauf mamoli laghta hai lekin iss khauf k insani zindagi par buray asrat partay hain . Iss post mein atychiphobia , atychiphobia ki alamat , atychiphobia ki wajuhat aur iss ka sahi rohani ilaj aap k liye peesh kya gya hai .

Atychiphobia Ki Alamat

Atychiphobia nafsiyati bimari hai jes mein mareez par ju alamat zahar hoti hain wo darj zail hain . Atychiphobia chunkay nakami ka dar hai lahaza nakami k dar ki waja se mariz ko saans lene me dushwari ka samna hota hai.
Mariz ki heatbeat bohat zaida barh jati hai .
Dar k doran mariz ko bohat zida paseena ane laghta hai .
Mazreez ko baz oqaat angina pain bhe hone lagh jata hai jo bohut ziada stress k natija mein zahir hota hai.
Achanak hi mareez ko bohut sardi ya bohut garmi mehsoos hone lagti hai.
In ko stomach problem bhe hota hai yani inko food digest nahi hota.
Mariz anxiety aur depression ka shikar rehta hai .
Iss k ilawa bohut se log jo perfect bannay ki khoshish mein lagy rehty hain wo bhe fear of failure ki waja se he asa behave karte hain .
Nakami ka dar ki waja se baz oqaat inn ki halat bohat khatarnaak hadh tak kharaab ho jati hai aur baz ouqat ayse afrad ko demagh par dabao parne ki waja se be had nuqsan ka samna bhe karna parh jata hai .
Ye nakami k dar ki waja se zahar hone wali chand aham alamat hain lahaza inn alamat k zahar hone ki sorat mein aap atychiphobia ka sahi ilaj k taraf zaroor tawaju dain . Atychiphobia nafsiyati bimari hai likan iss ka sab se best ilaj rohani hai .

Atychiphobia Ki Wajuhat

Atychiphobia ki waja mazi me hone wali nakami ka samna karne ki waja se lahaq hota hai .
Bohut se afraad ki family mein koe baat nahi mani jati aur aksar inhen family k dabao ki waja se atychiphobia lahaq ho jata hai .
Baz oqaat fard kisi se apni bohat zaida umeedain wabasta kar letay hain aur inn ki wo umeedain pori na ho tu iss waja se inahay nakami ka khauf ki bimari lahaq ho jati hai .
Baaz auqaat sab kch sahi hone k bawajood bhe phobia ki waja se insaan jeet nahi paata.
Kyu k kisi bhe chez ko hasil karne k liye bay khauf hona aur confident hona bohut zaroori hota hai.
Zarori nahi k fear of failure ki waja mazi ki nakami , family ka dabao aur zehni kamzori ho , aksar afrad ko fear of failure inn afrad ki nazre bad se ho jata hai ju k khud fear of failure aur negative energy ka shikar hotay hain . Negative energy fard k ander phobia ki waja banti hai lahaza aysi sorat mein aap k liye rohani ilaj hi behter rahy gha .

Atychiphobia Kay Nuqsanaat

Fear of failure insaan ki decision power ko bohut weak kar deta hai.
Fard na kaami k khauf ki waja se koi fasila nahi kar pata.
Wo esi soch mein mubtala rehta hai k us ka decision kahi ghalt sabat na ho jaye aur usy nakami ka samna na karna pare .
Asay tamam khayalat jo fard ko nakami ka ehsas dete hain un ki wajah se fard apni zindagi mein kamyaab honay ke bohat se mawaqay ziaya kar deta hai .
Iss k ilawa fear of failure k doran hone walay stress aur depression ki waja se aksar mareez ko kafi zaida nuqsan ka samna karna parh jata hai . Fear of failure fard mein bohat se bimarian lata hai aur aysi bimarian jen ki waja phobia ho wo aksar la ilaj hoti hain .

Atychiphobia Ka Rohani Ilaj

Atychiphobia ka best rohani ilaj nade ali dua ka arabi naqsh hai . Lahza aap dua nade ali sharif ko mushk , amber , zafran aur gulab se tehreer kar k apne ghalay mein pehan lain insha allah 24 se 72 ghanton mein allah ki zaat aap ko shaifa ata farma dain ghay . Agr koe bhai ya behan ye taweez khud tehreer na kar sakain tu wo ye naqsh astana se sirf mushk , amber , zafran aur courier ka kharch ada kar k hasil kar saktay hai .

Whatsapp

+92 328 4765719

Find Urdu Wazaif Here