Maut ka khauf aik zehni bemari hai jes mein kisi fard par maut ka khauf iss had tak tari ho jata hai k wo mehsoos karta hain k asay jald maut aa jae ghe . Maut ka khauf aik phobia hai ju k aik nafsiyati bimari hai aur nafsiyat mein asay death phobia kaha jata hai jes mein mariz sochta hai k asay jald maut aane wali hai .ye soch usay parshan rakhti hai. Aysa fard mentally tor par har waqt disturb rehta hai aur jab bhe apni death ya kisi family member se mutaliq asi soch sochta hai tu anxiety ka shikaar ho jata hai .
Iss post mein aap ko maut ka khauf (death phobia ) k baray mein mokammal detail aur iss ka rohani ilaj bataia ja raha hai .

Maut Ka Khauf Ki Alamat

Maut ka khauf k shikar afrad kisi bhe fard ki maut k baray me sun kar zehni iztarab ka shikar ho jatay hain . Maut k baray me koe baat sun kar mariz be had bechaini ka shikar ho jata hai .
Maut ka dar ka mariz maut k baray me jab bhe sochta hai tu iss k heart beat bohat teez ho jati hai .
Mariz ko pasena ane lagh jata hai .
Asay afraad in jaagou par nahi jate jaha unnye death se mutaliq kuch sunna pare .
Ye mariz hospital ya inn jagha par bhe nahi jatay jahan kisi ki mout hoe ho .
Es phobia ki waja se log depression ka bhe shikaar ho jate hain aur apni life mushkil bana lete hain.
Maut ka khauf ka mariz asani se so nahi sakta .

Maut Ka Khauf Ki Wajuhat

Maut ka dar ki bohat se wajuhat hoti hain jen me chand darj zail hain .
Maut ka dar ki sab se bari waja bachpan ya mazi qareeb ka wo waqia hota hai jes mein mariz ne kisi ki maut ko apni ankhon se dekha hota hai . Maut se mutalaq wo waqia mareez k zehan me death phobia ki sorat me beth jata hai .
Wo afraad jinhano nay koi khatarnaak hadsa dekha ho maut se khauf khanay lagty hain.
Jin logo ne bohut qareeb se maut ka tajarba kiya ho ya kisi bemari mein mubtala rahen hun, wo aksar maut ka khauf ka shikar ho jatay hain .
Baaz logo ko apnay family members ko kho dne ka bohat dar hota hai yehi kauf in ko maut ka khauf ka shikar banati hai .
Rohaniat mein maut ka khauf ki asal waja nazre bad , negative energy aur kala jadu ko mana jata hai .
Yad rahay k agr maut ka khauf ki waja nazre bad , negative energy aur kala jadu hai tu ye khauf sach bhe sabat ho sakta hai lahaza aap ko maut ka khauf ka rohani ilaj zaroor karne chahyia .

Maut Ka Khauf K Nuqsanaat

Maut ka khauf fard k liye jen nuqsanat ki waja banta hai wo darj zail hain .
Maut ka dar ka mareez asani se so nahi sakta . Iss mareez ko sone k liye aksar nasha awer medicine lene parti hai jes ka wo aksar aadi ho jata hai .
Nasha awer medicine lene ki waja se mareez ka stomach aur liver jald he kisi problem ka shikar ho jatay hain .
Mout ka khauf ka mareez andhery mein ziada dair nahi reh sakta.
Mout ka khauf ka shikar mareez society mein koe bhe kaam asani se nahi kar pata .
Phobia ka shikaar afraad kisi bhe activity k liye khud ko tiyar nahi kar paate .
Mout ka khauf ka mareez har waqat maut k baray mein negative sochta rehta hai .
Fear of death ki waja se aksar mareez apne aap ko bara nuqsan bhe de letay hain .

Maut Ka Khauf Ka Rohani Ilaj

Maut ka dar ka sahi rohani ilaj dua nade ali sharif ka arabi naqsh hai . Lahza aap dua nade ali sharif ko mushk , amber , zafran aur gulab se tehreer kar k apne ghalay mein pehan lain insha allah 24 se 72 ghanton mein allah ki zaat aap ko shaifa ata farma dain ghay . Agr koe behan ye taweez khud tehreer na kar sakay tu wo ye naqsh astana se sirf mushk , amber , zafran aur courier ka kharch ada kar k hasil kar sakti hai .

Whatsapp

+92 328 4765719

Find Urdu Wazaif Here