Nazar bad ka best ilaj dua nade ali k arabi naqsh me mojood hai . Nazar bad k baray me nabi pak ka farman hai k meri umat ki zaida amwat ki waja nazre bad hai. Nazar bad kisi bhe fard ki jan , aulad , ghar , job , karobar aur izat ko nuqsan de sakti hai .
Nazar bad k baray me tamam alhami kitabon mein detail mojood hai . Aur har mazhab me nazar bad se mehfoz rehne k liye khas duain taqeed farmae ghe hain .
Aik fard apne ander mojood negative energy ko na chahtay howa bhe jab apni ankhon k zaryia kisi dosray fard me dakhal karta hai tu ham ketay hain k ye fard nazar bad ka shikar ho ghaya .
Nazar bad me nazr laghane walay fard ko bhe iss baat ka pata nahi chalta k iss k nazre bad se koe motasar ho raha hai . Iss post mein nazare bad ka sahi ilaj , nazare bad k ilaj ki dua aur nazar bad ka taweez k baray mein aap ko bataia ghaya hai .

Nazar Bad K Nuqsan

Nazar bad k beshumar nuqsanat hain aur inn nuqsanat se har wo fard motasar hota hai ju k nazar bad ka shikar ho jatay hain . Nazre bad k chand mushahida me ane walay nuqsanat darj zail hain . Nazr e bad ki waja se kisi ki bhe jan ja sakti hai nazar bad kisi ko la ilaj bimari mein mabtalah kar sakti hai .
Nazare bad fard ko bad kismat bana deti hai .
Nazar bad fard me depression aur anxiety ki waja banti hai .
Nazr e bad aap ki job aur karobar k nuqsan ki waja banti hai .
Nazar bad rizq , paisa aur dolat ki kami ki waja banti hai .
Nazare bad ghar ka sakoon tabah kar deti hai .
Nazar bad ki waja se shohar ki mohabbat nafrat me badl jati hai .
Nazar bad ki waja se fard ko hameesha nakami milti hai .
Nazar bad bachon me dar , zid , kamzori aur nakami lati hai .
Nazar bad ki waja se shadees hadsa ho sakta hai .
Nazar bad ki waja se aksar khawateen be aulad rehti hain .
Nazar bad shadi aur rishta me rukawat ka sabab banti hai .
Yad rahay k insan jinnat ki nazre bad ka shikar bhe ho sakta hai . Baaz afrad par nazar e bad k asrat sirf chand secand me zahar ho jatay hai aur baz afrad par nazar e bad k asrat bohat saal k baad zahar hotay hain . Yani nazar e bad ka har insan par asar hota hai wo jaldi ho jae ya dair me . Algharz nazar e bad aap ko har kisam k nuqsan se dochar kar sakti hai . Lahaza iss se hifazat be had zarori hai .

Nazar Bad Ki Alamat

Nazar bad hr farad par aur bache par apni mukhtalaf alamat zahar karti hai . Naechay ham ne nazre bad ki chand aham alamat aap k liye peesh ki hain inn alamat me 5 alamat agr aap me mojood hain tu aap nazar e bad ka shikar hain . Lahaza nazare bad ki waja se
1-Sar , Shoulder Aur Tanghon Me Dard
2- Achanak Bimar Ho Jana
3 -Badan Me Susti
4- Zehan Kaam Nahi Kar Pata, Aisa Lagtaa Hai K Dimaag Band Ho Gayaa Ho
5 -Yaddast Kamzor Parh Jati Hai
6 – Kisi Ki Baat Ya Shour Acha Nahi Laghta
7 – Nazar Bad Ka Mariz Gumsum Rahta Hai , Wo Khud Nahi Samj Pata K Issay Kiya Howa Hai .
8 -Nazar Bad Ki Waja Se Bachon Me Zid , Gussa , Dar Aur Ahsaas E Kamtari Paida Ho Jati Hai
9 – Karobar , Job , Cow , Goat Aur Hourse Ko Bhe Nazre Lagh Sakti Hai .
Yad Rahay Nazar Bad K Asrat Hamaray Charon Atraf Me Phailay Hain Inn Se Koe Nahi Bach Sakta Ju Bachta Hai Wo Apni Naiki , Ibadat Aur Khayrat Ki Waja Se Bachta Hai .
Lahaza Zarori Nahi K Aap Hameesha Nazre Bad Se Mehfoz Rahain . Nazar Bad Se Shifa Aur Hifazat K Liye Aap Ko Rohani Hifazat K Liye Koe Na Koe Rohani Amal Karna Hi Ho Gha . Aur Aysa Hi Khas Rohani Amal Ham Aap Ko Bata Rahay Hain Jes Ki Barkat Se Aap Ko Nazre Bad Se Hamesha K Liye Nijat Hasil Ho Jae Ghe .

Nazar Bad Ka Ilaj

Nazar bad , har bimari aur pareshni se nijat dua nade ali me mojood hai . Lahaza agr aap nazar bad aur iss k asrat se hameesha mehfoz rehna chahty hain tu aap dua nade ali shareef ko mushk , amber , zafran aur gulab se tehreer kar k apne ghar mein bhe rakhain aur apne pas bhe rakhian . Insha allah aap ko nazre bad se shaifa bhe mil jae ghe aur aap nazare bad se hameesha mehfoz bhe rahain ghay .agr aap ye naqsh khud tehreer na kar sakain tu aap ye naqsh sirf mushk , amber , zafran aur courier ka kharch ada kar k astana se bhe hasil kar sakty hain . Aur iss maqsad k liye aap amna behan se whatsapp par rabta krain ,

Whatsapp: +92 328 4765719

Find Urdu Wazaif Here