Hifazat e Hamal ke liye behtareen Dua Ayat ul Kursi hai. Hamal khawateen ke liye aik sensitive marhala hota hai aur Hamal ke doran khawateen ko nazar bad se shadeed khatra lahaq rehta hai aur nazar bad ki wajah se khawateen ka hamal zaya bhe ho sakta hai. Isi wajah se ghar ke bazurg hamla ko pait cover kar K rakhne ka kehte hain. Lekin is ke bawajood baaz khawateen nazar bad ka shikar ho kar apni tabiyat kharab kar leti hain. Is ke ilawa Hamla ko chot lagne se, blood pressure ziada hone se ya depression hone ki wajah se nuksaan ho sakta hai. Is ke ilawa Hamla ko jinnat ki wajah se bhi pareshani ho sakti hai. Aksar khawateen ko Hamal ke doraan bhayanak aur ajeeb khawab dikhae dete hain. Lekin unko yeh keh kar nazr andaz kar diya jata hai ke sabhi Hamla khawateen ko ajeeb khawab dikhae dete hain. Lekin un ki medical wajah kiya hai, yeh koi nahi janta. Asal mein har Hamla khawateen ko jinnat kam ya ziyada pareshan karte hain aur isi wajah se Hamla ko bhiyanak khawab dikhaye dete hain. Algharz har Hamla khawateen ko chot, blood pressure, depression, nazar bad aur jinnat se hamesha khatra lahaq rehta hai aur biyaan ki gayi wajuhaat ki bina par Hamla ke Hamal ko nuksaan ho sakta hai. Isi liye har Hamla khawateen ko taa waqat pedaish 100 martaba Durood E Ibrahimi aur 100 martaba Ayat ul Kursi ka wird karte rehna chahiye aur iske ilawa Ayat ul Kursi ka Arabic naqsh bhi apne gale mein rakhna chahiye. InshaAllah is khatoon ka Hamal Allah ki hifazat mein rahega. Hadees mubarakah ki roshni mein Ayat ul Kursi ke fazail aur barkat jannay ke liye neechay diye gaye button par click karein. Mazeed maloomat ke liye aap Amna behan se rabita farmayein.

Hifazat e Hamal Ki Dua Urdu

حفاطت حمل کے لئے بہترین دعا آیت الکرسی ہے ۔ حمل خواتین کے لئے ایک نازک مرحلہ ہوتا ہے اور حمل کے دوران خواتین کو نظربد سے شدید خطرہ لاحق رہتا ہے اور نظربد کی وجہ سے خواتین کا حمل ساقط ہو سکتا ہے ۔ اسی وجہ سے گھر کے بزرگ حاملہ کو پیٹ چھپا کر رکھنے کا کہتے ہیں ۔ لیکن اس کے باوجود بعض خواتین نظربد کا شکار ہو کر اپنی طبیعت خراب کر لیتی ہیں ۔ اس کے علاوہ حاملہ کو چوٹ لگنے سے ، بلڈ پریشر ذیادہ ہونے سے یا ڈیپریشن ہونے کی وجہ سے نقصان ہو سکتا ہے ۔ اس کے علاوہ حاملہ کو جنات کی وجہ سے بھی پریشانی ہو سکتی ہے ۔ اکثر خواتین کو حمل کے دوران بھیانک اور عجیب خواب دیکھائی دیتے ہیں ۔ لیکن ان کو یہ کہہ کر نظر انداز کردیا جاتا ہے کہ سبھی حاملہ خواتین کو عجیب خواب دیکھائی دیتے ہیں ۔ لیکن ان کی میڈیکلی وجہ کیا ہے یہ کوئی نہیں جانتا ۔ اصل میں ہر حاملہ خاتون کو جنات کم یا ذیادہ پریشان کرتے ہیں اور اسی وجہ سے حاملہ کو بھیانک خواب دیکھائی دیتے ہیں ۔ الغرض ہر حاملہ خاتوں کو چوٹ ، بلڈ پریشر ، ڈیپریشن ، نظربد اور جنات سے ہمیشہ خطرہ لاحق رہتا ہے اور بیان کی گئی وجوہات کی بنا پر حاملہ کے حمل کو نقصان ہو سکتا ہے ۔ لہذا ہر حاملہ خاتون کو تاوقت پیدائش 100 مرتبہ درود ابراہیمی اور 100 مرتبہ آیت الکرسی کا ورد کرتے رہنا چاہیئے اور اسکے علاوہ آیت الکرسی کا عربی نقش بھی اپنے گلے میں رکھنا چاہئیے ۔ انشاء اللہ اس خاتون کا حمل اللہ کی حفاظت میں رہے گا ۔
حدیث مبارکہ کی روشنی میں آیت الکرسی کے فضائل وبرکات جاننے کے لئے نیچے دیئے گئے بٹن پر کلک کریں۔مزید معلومات کے لئے آپ آمنہ بہن سے رابطہ فرمائیں ۔

Whatsapp: +92 328 4765719

Find Urdu Wazaif Here