Hifazat ke liye behtareen duaen Surah Falaq aur Surah Naas hain. Agar koi khatoon hamala hai aur woh yeh chahti hai ke us ka hamal insano aur jinnat ki nazar bad se mahfooz rahe aur zahiri hawale se bhi koi aesi pareshani na aaye jis ki wajah se us ke hamal ko nuksan pounchay , to is khatoon ko chahiye ke woh subah aur sham ke waqt 10 martaba Durood E ibrahimi aur 100 martaba Surah Naas parh liya kare. Agar Surah Naas 100 martaba nahin parh sakti to woh kam az kam 10 martaba Surah Naas zaroor wird kare. Is ke ilawa hamala khawateen Surah Naas ko paak siyahi se tehreer kar ke apne gale mein zaroor rakhen aur apne ghar mein bhi rakhen. Ye 2 pabandiyan ikhtiyar karne ke baad aap har Thursday ya Jummah ko apni istitaat ke mutabiq chhote bachon ko doodh ki kheer zaroor khilaya karen. InshaAllah, Allah ke karam se hamal, hamala be zat khud aur is ka paida hone wala bacha hifazat mein rahen ge, aur Surah Naas ki barkat se paida hone wala bacha khoobsurat, sehatmand aur zindagi wala hoga. Surah Naas ke fazail janane ke liye neechey mojood button par click karein.

Dua For Safety Of Pregnancy Urdu

حفاظت کے لئے بہترین دعائیں سورہ فلق اور سورہ ناس ہیں ۔ اگر کوئی خاتون حاملہ ہے اور وہ یہ چاہتی ہے کہ اس کا حمل انسانوں اور جنات کی نظربد سے محفوظ رہے اور ظاہری حوالے سے بھی کوئی ایسی پریشانی نہ آئے جس کی وجہ سے اس کے حمل کو نقصان پہنچے تو اس خاتون کو چاہیے کہ وہ صبح اور شام کے وقت 10 مرتبہ درود ابراہیمی اور 100 مرتبہ سورہ ناس پڑھ لیا کرے ۔ اگر سورہ ناس 100 مرتبہ نہ پڑھ سکے تو وہ کم از کم 10 مرتبہ سورہ ناس ضرور ورد کرے ۔ اسکے علاوہ حاملہ خاتون سورہ ناس کو پاک سیاہی سے تحریر کرکے اپنے گلے میں ضرور رکھے اور اپنے گھر میں بھی رکھے ۔ یہ دو پابندیاں اختیار کرنے کے بعد آپ ہر جمعرات یا جمعہ کو اپنی استطاعت کے مطابق چھوٹے بچوں کو دودھ کی کھیر ضرور کھلا دیا کرے ۔ انشاء اللہ اللہ کے کرم سے حاملہ کا حمل ، حاملہ بذات خود اور اس کا پیدا ہونے والا بچہ حفاظت میں رہیں گے اور سورہ ناس کی برکت سے پیدا ہونے والا بچہ خوبصورت ، صحت مند اور زندگی والا ہوگا ۔ سورہ ناس کے فضائل جاننے کے لئے نیچے موجود بٹن پر کلک کریں۔

Whatsapp: +92 328 4765719

Find Urdu Wazaif Here