Marriage Wazifa In Quran
Shadi ki har pareshani ko door karne ke liye aap ne Jumma ke din Fajr ki namaz ke baad Surah Hashr ki akhri teen ayat ko tahrir karke apne ghar mein bhi rakhna hai aur apne pas bhi rakhna hai. Is ke baad aap ne Fajr ya Isha ki namaz ke baad awal-o-akhir 3-3 martaba Durood Pak parhna hai, aur darmiyan mein aap ne 70 martaba Surah Hashr ki aakhri teen ayat muhabbat se wird karni hai. Yeh wazifa aap 14 din tak jari rakhein. Insha’Allah 14 din ke baad aap ki shadi ki har pareshani khud ba-khud door hona shuru ho jaye gi. Yeh wazifa be had mujarrab hai, is liye jab is wazife ke asarat aap ko maloom hona shuru ho jayein to aap 3 masakeen ko khana zaroor khila dein. Yaad rahe ke agar kisi behen ko wazifa mein kamiyabi nahi mili to aisa wazifa ki shara’it par amal na karne ki wajah se hota hai. Is liye aisi surat mein aap Surah Hashr ki aakhri teen ayat ko paak siyahi se tahrir karke apne ghar mein bhi rakhain aur apne paas bhi rakhain. Surah Hashr ki aakhri teen ayat upar darj hain. Insha’Allah Surah Hashr ki aakhri 3 ayat ke naqsh ki barkat se jald hi aap ki shadi aur rishta ki har pareshani Allah ki ghaybi madad se door hona shuru ho jayegi.
Marriage Wazifa In Quran
Agr Nazre Bad aur Kala Jadu ki waja Se aap ki shadi mein rukwat hai tu iss ka rohani hal sirf Naqsh Isme Azam Hai jes ke detail ke liye neche mojood buton par click krain. Insha Allah 7 din mein aap ko har rukawat se nijat mil jae ghe .
