Shadi Ki Bandish Khatam Karne Ka Wazifa
Shadi ki bandish ka tor karne ke liye Surah Hashr ki akhri teen ayat ka wazifa larki khud bhi kar sakti hai aur is larki ki niyat se uske waliden bhi ye wazifa kar sakte hain. Is wazife ke liye ap Jumma ke din Isha ki namaz ke baad awal wa akhir 10-10 martaba durood pak parhein aur darmiyan mein ap dononfl namaz Hadiya Bibi Fatima (SA) salamullah alayha is tarah ada karein ke in donon nawafl mein ap alhamdul sharif ke bad 3-3 martaba Surah Ikhlas tilawat karein. Nawafl ada karne ke bad ap 300 martaba Surah Hashr ki akhri teen ayat mohabbat se tilawat karein aur ye wazifa ap 3 din tak jari rakhein. 3 din ke bad ap rozana 10 martaba Surah Hashr ki akhri teen ayat aur 10 martaba durood Ibrahimiy hamesha wird karte rahein. Yad rahe ke agar kisi behan ko wazifa mein kamiyabi nahi milti to aisa wazifa ki sharait par amal na karne ki wajah se hota hai. Isliye aisi surat mein ap Surah Hashr ki akhri teen ayat ko pak siyahi se tahrir karke pas rakhein aur apne ghar mein bhi rakhein. Insha’Allah jald hi apko shadi aur rishta ki har pareshani se nijat hasil hojayegi. Surah Hashr ki akhri teen ayat ka naqsh har maqsad mein kamiyabi ke liye ghaibi madad hasil hone ka sabab banta hai. Iske alawa apki shadi ki bandish aur har rokawat khatam hojayegi aur ane wali zindagi ap par bandish, kala jadu aur nazar bad ka asar nahi hoga. Har shakhs apki izzat karega aur apko good luck hamesha milti rahegi. Surah Hashr ki aakhri teen ayat ke fazail aur barkat janne ke liye niche mojood button par click karein.
Shadi Ki Bandish Khatam Karne ki Dua
Agr Nazre Bad aur Kala Jadu ki waja Se aap ki shadi mein rukwat hai tu iss ka rohani hal sirf Naqsh Isme Azam Hai jes ke detail ke liye neche mojood buton par click krain. Insha Allah 7 din mein aap ko har rukawat se nijat mil jae ghe .
