Wazifa Surah Rahman?
Rahman Allah ka sifati Naam aur ism e Azam Hai aur Surah Rahman Quran ki 55 number Surah hai . Jis mein Allah Ki zaat ne tamam nematon ka zikr kiya Hai . Jis se insaan Aaj tak faida hasil kar raha Hai aur rehti Duniya tak Karta rahe ga. Es Surah Mubarakah Ki 58 Ayat Hain. Aur Har Ayat Apne aap mein bhut Barkat Ki hamil Hai. Es Surah ko Shifa Ki Surah bhe Kaha Jata Hai. Kyu K es Surah K wird se fard Ki Har mushkil , Parshani aur bemari dour ho jati Hai. Lehaza Aaj Ki es post mein hum aap ko Surah Rahman ka khas Wazifa aur Surah Rahman K benefits batayn ghay. Lehaza aap post ko complete read Karen.
Is article ko Urdu me Read karne k liye site Nad Ali ka article “Surah Rahman Ka Wazifa 100 Benefits” ko visit krain.
Wazifa Surah Rahman
Surah Rehman Har fard Ki Har mushkil aur Parshani ka Hal Hai. Surah Rehman ka Wazifa Karne K liye aap Chand Ki pehli jumeraat ya Jummah K din Isha Ki namaz K baad awal O aakhir 10_10 martaba Durood E Pak wird Karen aur darmiyan mein aap 2 nafil namaz hadiya Muhammad Ale Muhammad es tarah Ada Karen K in dono nawafil mein aap Alhamad Sharif K baad 3_3 martaba Surah Ikhlas tilawat Karen . Nawafil Ada Karne K baad aap 7 martaba Surah Rehman tilawat Karen aur es K baad aap 1300 martaba ya Rahman wird Karen. Ye Wazifa aap ne 13 days tak Jari rakhna Hai.13 din K baad aap Rozana 10 martaba Durood E Ibrahimi, aik martaba Surah Rahman aur 100 martaba ism ya rahman wird karne Ki adat daal lein. Es K ilawa aap Wazifa shuru Karne se pehlay ism e Azam ya Rahman ko Pak siyahi se tehreer kar K apne Ghar mein bhe rakhen aur apne pas bhe rakhen. In Shaaa Allah jald he aap ko Surah Rahman Ki barkat hasil Hona shuru ho jayen gi aur humesha Hoti rahen gi. Surah Rahman Ki Rohani Barkat neechay darj Hain.
Benefits Of Wazifa Surah Rahman
Surah Rahman in gint barkat Ki hamil Surah Hai. Jin ko biyan Karna insaan K bas Ki baat Nahi . Agar koi bahi ya Behan biyan kiya Gaya Wazifa Mohabbat se kar lete Hain tu es Ki waja se unnye Surah Rahman Ki darj zail Barkat hasil ho Sakti Hain.
Yani Surah Rahman Ki Barkat se insaan apni zindagi Ki nakami ko ba asaani kamyabi mein badal sakta Hai.
Surah Rahman Ki Barkat se fard Ki Taqdeer achi ho jati Hai. Jiski waja se fard ko zindagi K Har kaam mein kamyabi milti Hai.
Surah Rahman Ki Barkat se Har shakhs aap se Izzat aur Mohabbat se baat Karne par majboor ho Jaye ga.
Surah Rahman Ki Barkat se fard ko wafar Rizq hasil ho Jata Hai aur jald he fard K pas wafar paisa aur Dolat jama ho jati Hai.
Surah Rahman Ki Barkat se fard ko Tangdasti , Qarz , gurbat aur Muflisi se humesha K liye aur bhut jald nijat hasil ho jati Hai.
Agar koi fard nokri se mehroom Hai tu Surah Rahman Ki Barkat se usse achi job hasil ho jati Hai aur uss K ilawa fard ko job mein tarakki aur kamyabi bhe hasil hoti Hai.
Surah Rahman Ki barkat se jald he aap Ki amdani aur salary mein Izafa ho Jaye ga.
Surah Rahman Ki Barkat se aap ko tamam zindagi job K hawaly se Kisi kisam Ki Parshani ka samna Nahi ho Ga.
Agar koi behan Surah Rahman Ka Wazifa karti Hai tu uss Ki waja se uss Behan ko uss Ki Har Hajat bhe hasil ho ge aur es Ki waja se uss K shohar ko tarakki, kamyabi aur Izzat Hasil ho jati Hai.
Surah Rahman Ki Barkat se Biwi ko uss K shohar Ki Mohabbat milti Hai aur Shohar tamam zindagi apni Biwi Ki Har baat maanta Hai.
Es K ilawa Surah Rahman Ki Barkat se Shohar ghair Aurat Ki Mohabbat se dour ho Jata Hai.
Surah Rahman Ki Barkat se Biwi ko uss K susral mein Izzat aur Mohabbat milti Hai.
Surah Rahman Ki Barkat se betion ko un Ki pasend ka Rishta hasil ho jata Hai.
Surah Rahman Shadi Ki Har rukawat ko dour karti Hai.
Surah Rahman Ki Barkat se aap ko dushman , Kala Jadu , Jinnat , Shaitan aur Har kisam K bad asrat se nijat mil Jaye gi aur aap humesha Allah Ki Hifazat Mein rahen gay.
Surah Rahman Ki Barkat se aap ko mujooda Parshani se nijat mil Jaye gi aur anida zindagi aap Har Parshani se Mehfooz rahen ghay . Es K ilawa aap Ki Har Hajat gaib se Pori ho gi aur humesha Hoti rahe gi.
Surah Rahman Ki tilawat se Allah Ki Rehmaten ka nazol hota Hai aur barkaton mein Izafa hota Hai.
Es Surah K wird se insaan mein shukr guzari Ki adat paida Hoti Hai jiski waja se insaan Mandi Soch K nuqsan se Bach Jata Hai.
Surah Rahman Ki barkat se karobar mein kamyabi milti Hai aur karobar Nazar E bad , Hasad aur Har kisam K shar se Mehfooz rehta Hai.
Es Surah K wird se insaan ko jismani aur rohani sukoon milta Hai aur insaan ko Allah ka qurb Naseeb hota Hai.
Nafsiyati masail aur bimariyon K liye Surah ka wird bay had Pur taseer Hai aur fard ko Har zehani bemaari se Allah Ki zaat Shifa ataa farmate Hain.
Agar koi shaks Kisi mozi Marz mein mubtala ho aur usse Kisi bhe Dawa se Shifa na mil rahi ho tu es Surah Ki Barkat se Allah Ki zaat fard ko Kamil Shifa ata farmate Hain.
Es Surah Ki tilawat Ki Barkat se Ghar mein Aman O sukoon aur Ghar K logon se Mohabbat Hoti Hai.
Insaan Har kisam K rohani aur duniyawi nuqsan se Mehfooz rehta Hai. Ye kehna ghalt na ho ga K ye Surah aap ko zindagi Ki Har Parshani se nijat dene K liye kafi Hai aur Jo fard es Surah Ki tilawat Karta Hai tu usse zindagi Bhar Kisi bhe Wazifa aur word Ki zaroort Nahi parhti.
Agar koi bahi ya Behan Kisi majboori Ki bina par Surah Rahman ka Wazifa na kar sake tu wo Surah Rahman ka Naqsh apne Ghar mein zaroor rakhe taa K aap ko Surah Rahman Ki Rohani Barkat hasil Hona shuru ho jayen.
جو لوگ حسد اور نحوست سے خود کو بچا لیتے ہیں ان کو وظیفہ کئے بغیر ہی زندگی میں سب کچھ حاصل ہو جاتا ہے جبکہ حسد اور نحوست کا شکار افراد کو وظیفہ میں بھی کامیابی نہیں ملتی ، لہذا اگر آپ چاہتے کہ آپ کا وقت برباد نہ ہو تو آپ وظیفہ شروع کرنے سے پہلے چند باتیں اپنے ذہن میں رکھیں ، ممکن ہے کہ آپ کو وظیفہ کئے بغیر آپ کے مقصد میں کامیابی حاصل ہو جائے ۔ اس لئے نیچے موجود بٹن پر کلک کریں ۔