Author: Salam

Surah Ikhlas Ka Wazifa For Rishta Urdu and Hindi

Agar koi beti rishta ki bandish ka shikar hai aur woh us se jald nijat hasil karna chahti hai to is ke liye woh chaand ki pahli jumeraat ko isha ki namaz ke baad awwal aur aakhir 10-10 martaba darood pak word karein aur darmiyan mein dono fard namaz hadiya Bibi Fatima (S.A) salamullah alaiha is tarah ada karein ke in dono nawafil mein alhamd sharif ke baad 3-3 martaba Surah Ikhlas tilawat karein.

Read More

Husband Ke Life Time Love Ki Dua Urdu-Hindi

Ayat al-Kursi Quran ki sab se badi ayat mubarakah aur ek azeem dua hai jis ke zariye koi bhi behan apne shohar ki mohabbat ko hamesha ke liye hasil kar sakti hai. Ayat al-Kursi ka wazifa kisi bhi din shuru kiya ja sakta hai. Is wazifa ke liye aap Fajr ki namaz ke baad awal aur aakhir 3-3 martaba Durood Pak parhein aur darmiyan mein aap 70 martaba Ayat al-Kursi mohabbat se parhein. Yeh wazifa aap ne har farz namaz ada karne ke baad karna hai, aur pure amal ko aap ne 14 din tak karna hai.

Read More

Ya Jabbaru Ya Qahhar For Husband Love In Urdu-Hindi

Agar koi behan apne shohar ke zalimana rawiya se pareshan hai to aise shohar ki mohabbat hasil karne ke liye aur use apna deewana banane ke liye aap Allah ke sifati naam ya Qahar ya Jabbar ka wazifa sirf 14 din tak kar lein. Insha’Allah shohar apni biwi ka aisa deewana ho jaye ga ke family ke sabhi afrad hairaan rah jayenge. Is wazife ke liye aap Isha ki namaz ke baad awwal aur aakhir 10-10 martaba durood pak parhein aur darmiyan mein aap 70 martaba Surah Quraish aur 700 martaba Ya Jabbar Ya Qahar mohabbat se wazifa karein.

Read More

Hub ki Tasbeeh for Husband Urdu-Hindi

Yeh hub ki ayat hai jo ke Surah Baqarah ki ayat 165 mein mojood hai. Is ayat mubarak ko aap sahih Arabic ke saath yaad kar lein. Uske baad aap lakdi ki saada 100 danon wali aisi tasbeeh hasil karein jisko polish nah kiya gaya ho. Is tasbeeh ko aap chemical aur alcohol se paak kar ke khushbu laga lein. Khushbu light si ho. Koshish karein ke agar aap ko pasina noor itr mil jaye to aap yeh itr is tasbeeh ko laga lein.

Read More

Apne Shohar ki Mohabbat Pane ka Asan Wazifa Urdu-Hindi

Agar koi behan apne shohar ki mohabbat ko tamam zindagi ke liye hasil karna chahti hai to woh Jumma ke din Isha ki namaz ke baad awwal aur aakhir 10-10 martaba durood pak parhe aur darmiyan mein woh 700 martaba Surah Baqarah ki ayat 165 mein mojood dua mubarak parhe. Ye wazifa aap ne 14 din tak jari rakhna hai.

Read More
WeCreativez WhatsApp Support
Ask Any Question
Welcome To Live Support